Posts Tagged 'Owais Ghani'

Owais Ghani — LIAR!

 I just watched the last part of Jawab Deyh (June 28, 2009) and was surprised by:

    1. How blatantly Owais Ghani was lying, and
    2. Iftikhar Ahmed’s failure to catch him

Here is the transcript of the last 5 minutes of the show. (My comments are between [ ]):

Iftikhar Ahmed (IA): Aap nay aik martaba kaha aadhi baat mat karo. Ab koi baat chupai nahi ja sakti. HamaiN khul ker baat kerni chahiyay. Don’t do shuf-shuffle, shaftalu…

Awais Ghani(AG): Yay aik pashto meiN misal hay. Shuf shuf mat karo nahi kerni chahiyay “Khul ker bat kerni chahiyay”

IA: Akbar Bugti ko kiss nay mara?

AG: Sir, acha. OK, Ab meiN explain ker dayta houN. Wohan bhi aik insurgency key kafiat THee jis kay khilaf military action hua. Again wo military action rad-e-aml meiN hua. Rocket – rocketing hui- Kohlu mein bhi and Quetta mein bhi aap ko yad ho ga – us kay rad-e-aml mein hua. Is meiN aksar yey mujh say poocha giya hay. Jawab meiN maiN nay kaha hay ‘DeykhaN jee, Aik citizen hota hay aik mulk ka. Us waqt tak us ko aaeen aur kanoon tahafuz dayta hay jab tak wo aaeen aur qanoon kay dairay mein rahay. Jub wo us dairay say bahir ho jai to us ko qanoon tahafooz nahi dayta.’ Unfortunately wohan per aaysay halat payda ho gaay kay us meiN aik khulam khula larai shuru ho gai halaN kay action … [Here he justifies the killing basically stating Bugti deserved it as he had stepped out from under the protection provided by law and the constitution. I of course disagree as he was still a citized]
Continue reading ‘Owais Ghani — LIAR!’